Saturday, April 18, 2015

Modern

Hum aj ke dur ko modern kehtay hein. Laikin kya modern hona sirf dressing hey, ya 'good' accent hey, ya dosre expensive cheezein hein, jis ko log fashion kehtay hain, we spend too much money it.

But mera manna hai ke modern jub tak nai jub tak soch sahi nahin.

Like aj bhi hum 'beti' ki birth ko bura samjhtey hein. Har dil main betey (son) ki birth ki wish hoti hai.

Kyun.

Aisa kyun hai. Yeah soch ameer aur ghareeb dono mein hey. Aik parha likha couple bhi betey ki birth ki dua karta hai.

Kyun.

Soch ko badalna hoga. Daughter is a big blessing. Shadi ke baad mothers ko apny betey ki biwi bilkul bardasht nahin hoti and they share issues related to son and his wife with their daughters. Then mothers say ke betiyan achi hoti hein. Son badal jatey hein.

Jab son ki wish thy tu ab uski khatir bahu ko bhi tolerate karao, naa-key 'daughters are better' kaho. Kyun ke yehi woh betiyan hein jin ke birth pe muh basora hota hai.

Poori life sons ki perwarish pe zyada tawajo. Bahu ke aney ke baad why value to daughters.

Kyun ke us waqt yahi daughter jis ko hamesha mothers son se kum worth deti hein, wohi apko samjhty hein.

Please apni soch ko badlo.

Son and daughter. Both are precious. Jub aurat hi daughters ki birth ko issue banaye gi toh why we think ke mard will give value to woman/daughter/wife.



Please never underestimate the power of women. Never think ke daughter has less value. Modern bany ke lea is soch ko bhi sahi karo. Sirf luxurious lifestyle modernism nahin. Yeh toh bas ik chadar hey jis se hum apni ghalat soch ko dhanptey hein.